Sunday 27 September 2015

YEH ISHQ HAAYE!!!



Yeh Ishq bhi kaisi paheli hai
Kisi ko samajhti nahi toh kisi se sambhalti nahi,
Jisko samajhti hai use kabhi milti nahi 
Aur jis se sambhalti hai use uski kadar nahi...

Insaan chaai bhi fuk-fuk kar pita hai
Par Pyaar aankh band kar ke karta hai ,
Ajeeb khel hai yeh kismat ka
Pyaar ka ehsaas bhi dooriyaan hi sikhati hai...

Har shayar ki kahani ek si nahi hoti
Kuch panne aise bhi hote hai,
Jispar siyahi ki jagah 
dard aur khushiya bikhri hote hai...

Ishq me saza bhi usi ko milti hai
Jise uski parvah hoti hai,
Aur inaam bhi usi ko milta hai
Jise uski izzat hoti hai...

Heer-Ranjha, Laila-Majnu
Yeh toh bus mehez kuch kisse hai,
Aise hi kayi kisse aaj kal
Akhbaro me aur galli-chaubaro par mil jate hai...

Har insaan ke Pyaar ki
Ek rangeen daastan hoti hai,
Jiske rang me ya toh rang jata hai
Ya fir apne hi yaadon me be-rang ho jata hai...

Ishq ki izzat karo yaaro
Yeh har kise ke naseeb me nahi hota,
Par jise Ishq hota hai
Use uska ehsaas aksar der se hota hai...