Tuesday 30 April 2013

Nazron Se Dur Sath Hum Hoge!!!


Nazro Ke Kisi Kone Me Hoge
Kuch Ashk Jo Zindagi Ke Pehelu Ko
Pehechante Hoge,
Kajal Se Chupa Kar Jise Tum
Parchai Kehelate Hoge,
Kuch Sapne Bhi Chhup Gaye Hoge
Jinhe Tum Khwabo Me Tehelate Hoge,
Kabhi Yaade Toh Kabhi Hume
Yaad Karke Muskurate Hoge...

Kyu Dur The Humse Itna Ki Sirf
Dhadkane Sunai De Hume,
Kaha Tha Tumse Ki Mushkil Hai
Jeena Tumhare Bin In Anjaani
Raho Me,
Hath Pakadkar, Ladkhada Kar Hi
Sahi Sath Hone Ka Ehsaas Toh Mila Hume,
Agar Sath Na Hote Toh Sambhalne
Ka Mauka Kaise Milta Hume...

Pyar, Ishq, Mohobat, Yeh Toh Bus
Baate Hai,
Zindagi Ke Raha Par Chalne Ke
Wade Hai Yeh,
Zindagi Toh Tab Haseen Hoti Hai
Jab Hum Sath Nibhate Hai Inhe...

Jeena Aur Marna Yeh Do Zindagi
Ki Paheliya Hai,
Agar Hum Sath Ho Toh Inhe
Suljhane Ki Koi Jarurat Nahi,
Kyuki Koi Bhi Paheli Sulajh Jaye
Apnani Toh Dono Ko Hai...

Kuch Sikho In Bhawron Se
Jo Bin Chhue Pehechante Hai
Mithas Ko Kisi Rangeen Phool Me,
Jismo Ke Piche Bhage Hum Firte,
Uttro Kabhi Ruhh Me...