Saturday, 22 March 2014

Fir Barish Hogi...!!!


Samundar Kinare Ek Gasht, Bulbulo Ke Badolat,
Lehero Ke Shor Par Nazeer Dhadkano Ki Aahat,
Jo Iss Dooriyon Ki Gardisho Ko Badal De,
Bus Yahi Iss Adeeb Ki Tammana Puri Kar De...

Ferozi Libaz, Rupahale Zewar,
Chamakti Nighaho Me Ubharte Tewar,
Tumhare Issi Baat Ne Toh Humse
Puri Qaynath Jod Di Thi,
Palko Me Basi Woh Tasveer Chura Li Thi,
Thik Ussi Tarah,
Fir Barish Hogi, Fir Yaadein Taza Hogi,
Fir Bheegi Palko Par Yaadon Ki Parchhai Nazar Ayegi...

Tera Zikr Na Ho Aisa Koi Din Nahi Hota,
Yeh Barish Pehele Bhi Itni Hi Shor Karti Thi
Aur Ab Bhi Utna Hi Shor Karti Hai,
Bus Ab Bheegna Pasand Hai,
Kyuki Ab Wajah Alag Hai Jeene Ki Bhi
Aur Bheegne Ki Bhi...

Har Woh Pal Jiska Katra-Katra
Hum Sath Bitana Chahate Hai,
Kisi Roz Uthate Dhue Me Posheeda Ho Jayega,
Na Me Bhulunga, Na Tum Bhulogi,
Fir Barish Hogi, Fir Yaadein Taza Hogi,
Fir Bheegi Palko Par Yaadon Ki Parchhai Nazar Ayegi...

Kuch Kadam Hum Chale, Kuch Tum Chalo,
Thoda Pyaar Humne Kiya Hai, Thoda Tum Karo,
Paani Ki Khoj Me Toh Abr Bhi Rukh Mod Lete Hai,
Kuch Intazar Humne Kiya Hai, Thoda Tum Bhi Karo...

Humari Zindagi Bhi Iss Sunahare Suraj Ki Tarah Hai,
Pyaar Se Chamakti, Roshni Ki Tarah Manzil Tak Jati,
Aur Kisika Saya Ban Kar Saath Nibhati,
Saath Mera Aur Tumhara,
Fir Barish Hogi, Fir Yaadein Taza Hogi,
Fir Bheegi Palko Par Yaadon Ki Parchhai Nazar Ayegi...