Sannata Keh Raha Hai Kyun Zulm Sehe Raha Hai,
Ek Dastan Purani Tanhai Ki Zubani,
Har Zakham Khil Raha Hai, Kuch Mujhsa Kehe Raha Hai,
Chubta Kanta Yaadon Ka,
Girti Deewaron Ke Anchal Me Zinda Hai. . .
Sukhe Patton Ki Taraha Sehemi Palke Hai,
Daali Se Ruth Kar Jo Chalke Hai,
Paani Ki Boondein Hi Hai Jin Par Sapne Behete Hai,
Tinka Tinka Wakt Bhi Fisal Raha Hai,
Milne Ko Jo Tumse Kadam Badhaye The,
Do Char Kadam Hi Sahi Par Sath Toh Chal Paye Hai. . .
Saansein Mehekti Hai Teri Khushbo Se
Ab Toh Saans Lene Se Bhi Dar Lagta Hai,
Tanhai Me Andheri Raat Ke Kale Saaye
Andheron Ka Khauf Nahi Ujalon Se Dar Lagta Hai,
Teri Yaadon Ke Sahare Zinda Hai Hum
Ab Tujhe Bhul Jane Se Dar Lagta Hai. . .

Zindagi Hai Jo Jiyee Jati Hai, Khoon Ka Ghoont Piyee Jati Hai,
Khwab Kaanton Sa Siye Jati Hai,
Ab Na Koi Pass Hai Phir Bhi Ek Aas Hai,
Syahiyo Se Ulajhi Paheli Hai Ki Koi Khaas Hai,
Yaadon Ke Jungle Sa Yeh Dil, Kaanton Sa Jalta Yeh Dil,