Monday 29 July 2013

Plaster Aur Tum!!!


Ek hadse ne hume sath laya 
Jo hume itna karib le aya, 
Tab tak dur the toh khush the 
Aaj sath hai toh jyada khush hai...   

Sath rehene par dard kum hota hai 
Dur hone par jaise sahara chhut jata hai, 
Itne karib ho mere ki mehsus 
kar sakta hu tumhe bina chhue... 

Dikhne me haseen hai 
Jise mil jaye unke apne apne nasib hai,
Hath pakad kar chalna toh iski fitrat hai... 

Dard ko kum karna toh 
Jaise iska pesha hai, 
Tumhara mera sath 
jaise hamesha hai...   

Sath toh yeh bhi deta hai 
Usi tarah jaise aankh nazar ka, 
Par tumhari tarah nhi 
Har pal, har wakt, hamesha...

Yun toh sab soch rahe hai 
Ki yeh kissa hai kis prakar ka, 
Par tum muskura rahi ho 
Jankar ki yeh kissa hai
Tuhara aur is nile plaster ka...