Saturday 17 December 2016

BIKHRE ALFAZ!!!



Yun hi chal raha hu me
Hath me kitab aur dil me sawal hai,
Sukhe patto pe chal padi
Zindagi ki yeh adhuri talaash hai...

Hawa ke rukh se
Badal bhi apni manzil mod lete hai,
In ghane pedo ka kya
Bikhre patto me bhi apna dard chupa lete hai...

Har udte patto me
Kisi ka khwab likha hota hai,
Tair jaye toh pura
Aur doob jaye toh Adhura hota hai...

Behete pani ka bhi
Kaha koi thikana hota hai,
Kahi mil jaye toh
Samundar ka bhi kinara hota hai...

Kahaniya toh bohot si hai
Jise yaad kiy jaye,
Par tum uss nazm ki tarah ho 
Jise padhkar kise bhi pyaar ho jaye...

Tuesday 9 August 2016

NAQAAB!!!



Nazme padhkar wah-wah kehne walo
Har shaks ka guzra daur hota hai,
Kuch mann me hi sath le jate hai
Aur kuch ashko me baya kar jate hai...


Safalta ke pichhe mat bhago
Jeet ka gurur sar chadhkar bolta hai,
Hausla hare insano ko mene
Aksar ladte dekha hai...

Zindagi me haar bhi bohot zaruri hai
Khud ke aib ka pata chalta hai,
Aur jitna bhi behad zaruri hai
Khud ke hunar se ru-ba-ru hote hai...

Kitabo ke panne toh log padhkar bhul jate hai
Par unka swad har kisi ke jubaan par hota hai,
Kahani ka saransh hume yaad reheta hai
Lekin lafz toh unhi ke hote hai...

Husna ki tarif toh har koi karta hai
Saccha aashiq toh uski ibadat karta hai,
Kisike muskan par dil mat har baitho
Muskurahto ka bhi naqaab hota hai...

Friday 17 June 2016

KADHI TUJHYA, KADHI MAJHYA!!!


Kadhi tujhya dolyat, 
Kadhi majhya dolyat, 
Aplya athvani firatach astat... 

Kadhi Tujhya shabdat, 
Kadhi majhya shabdat,
Premachya goshti nighatach astat... 

Kadhi tujhya hrudayat, 
Kadhi majhya hrudayat, 
Ek mekanche naav satat  gun-gunat astat...

Kadhi  tujhya hatat, 
Kadhi majhya hatat, 
Doghanche hath guntlelech astat... 

Kadhi tujhya vicharat, 
Kadhi majhya vicharat,
Athavani che kshan bhijatach astat...

Kadhi tujhya premat me, 
Kadhi majhya premat tu,
Na visarta apan nehmi padatach asto...

Wednesday 20 April 2016

DIL KAHE ROK LU!!!


Yaha meri kalam fir chal padi hai
kisi kore kagaz par,
Aur me jaanta hu ki tum bhi
meri hi nazme pad rahi hogi....

Meri aankhe nahi dekhegi tumhe
kyuki yeh jhut nahi bol pati,
Rokna toh bahe bhi chahti hai tumhe
par kya karu yeh dil ki zuba nahi bol pati...

Mousam ki peheli barish fir hogi
jiski kad-kadahat me sirf meri dhadkano ki aahat hogi,
Bheegte hue tumhare badan pe
har ek boond me bus meri hi yaade hogi...

Yun toh Nafrat hai mujhe iss barish se
jo tumhe chhune ki jurrat karti hai,
Par khushi bhi hai mujhe
kyuki tumhari muskurahat ki shurwat bhi isi se hai...

Sochta hu kaid kar lu tumhari harkato ko
par unhe tumse chhine ka mann nahi karta,
Yun toh hamesha muskurati hi ho,
aur aaj kehe rahi ho ki chodne ka mann nahi karta...

Meri har baat ko tolne ki adat nahi hai tumhari
fir aaj kyu mere asuo ko tol rahi ho,
Kuch hi din gili rahegi yeh palke 
fir toh tum bhi kahi dur jaa rahi ho...

Saturday 16 January 2016

YAAD HAI WOH DIN!!!



Yaad hai woh din, jab Chand tut kar
zameen par aa gira tha,
Hum bhage the dhundne use par
kahi kuch nhi mila tha... 

Ghane jungle me hum dono ki 
saason ka pehera tha, 
Hath pakadkar chalte tumhari muskan par
jo thehera tha... 

Peheli baar kisine apna samajhkar
hath thama tha, 
Dhadkane tez, par ek bharosa tha...

Kuch bechain si thi tumhare aankho
ki roshni, 
Pal pal tumhari muskan ko jo yun
chhed rahi thi,
Kadam tumhare chal rahe the aur aahat mere dil me gunj rahi thi...

Jaa pohoche the hum us kinare, 
Jaha talab me ek roshni ka tinka
chamak rahai tha, 
Dekhte hue karib pohocha toh tuta hua
chand nhi Tumhara hi aks tha...