Sunday, 4 November 2012

Bus Itni Si Thi Yeh Kahani!!!

Na Jane Iss Tanha Duniya Me
Kya Dhund Raha Tha Me,
Gumsum Gumshuda Galiyon Me
Yun Awara Kya Khoj Raha Tha Me,
Shayad Tumhe Hi Dhund Raha Tha Me...

Shayad Kisiki Saanso Ki Mehek Thi
Ya Payal Ki Khanak Thi,
Jaante Hue Bhi Anjaan The Par Fir Bhi
Dil Me Ek Chanak Thi Ki
Tum Yahi Ho,Yahi Kahi Ho...

Baho Se Guzarti Hawa Ki Tarah
Pass Aakar Palak Jhapakte Hi
Jaise Dhundli Ho Jati Thi Duniya,
Socha Kuch Pal, Kuch Lamho Ke Liye Akela Ho Jao
Aankh Kholi Toh Ek Chehera Nazar Aya...

Muskurahat Jaise Kali Ki Khil Khilahat
Harkate Jaisi Bachkani Hich Kichahat,
Ek Latt Gulabi Galo Ko Chhuti Hui
Mano Hawa Se Jaise Leherane Ke Liye Lad Rahi Ho,
Nazuk Hatho Se Halke Se Usse Ungli Par Lapet Kar
Woh  Usse Apne Kano Ke Piche Sarkati Hui,
Par Jaise Latto Ne Leherane Ki Zid Pakad Rakhi Ho,
Fir Fisalkar Gulabi Galo Ko chhu Liya...

Shayad Thi Aasman Se Utari Hui Koi Meethi Pari
Ya Shayad Koi Sansanati Tikhi Curry,
Bachpan Se Dekha Toh Tha Par Iss Kadar Kabhi Nahi
Kab Dil Ne Pyar Ke Samundar Me
Dupkiya Lagana Shuru Kar Diya Pata Nahi...

Majbur Yeh Halat Idhar Bhi The Udhar Bhi
Tanhai Ki Raat Idhar Bhi Thi Udhar Bhi,
Kehene Ko Bohot Kuch Tha Magar Kise Kahe Hum
Kabtak Yun Hi Khamosh Rahe Aur Sahe Hum,
Kyu Din Me Sulagte Rahe Logo Ko Bata De
Ha Humko Mohobat Hai, Mohobat Hai, Mohobat Hai...

Socha Dil Ki Kuch Baate Usse Bhi Bata De
Naam Me Hi Kuch Aisi Baat Thi Ki
Awaj Dete Hi Dhadkan Tezz Ho Gayi Jaise Beheta Pani,
Kehe Toh Diya Sab Magar Khamoshi Khichti Ja Rahi Thi
Nazare Jhukati Hui Halke Si Muskurai Aur...
Bus Itni Si Thi Yeh Kahani...

2 comments: