Sochta tha, milegi kya koi aisi
Jo ati-khubsurat naa ho,
Naa ho apsara jaisi ek, par hogi hazaro me ek,
Baghwan jab deta hai, toh dil khol ke,
Mere zindagi ke hisse me Pyara shaks bhej diya ek ...
Kyu har saans tumhe hi pukarti hai,
Kyu iss dil me tumhari hi dhadkane chalti hai,
Na me jaanta hu aur naa janna chahata hu,
Iss ehsaas ko bus yun hi jeena chahata hu...
Kabhi lagta tha use dikh ke,
Kya yahi hai woh khwabo me anewali,
Toh kabhi lagta tha, kya yahi hai woh
Saree me khule baalo wali,
Ikrar hai samajhkar mene hi puch li dil ki baat,
Ab kabhi bhi hoti hai baat, chahe din ho ya raat...
Woh keheti hai ab soch band kar,
Dikhao kuch kar,
Tab uske saath bitayi palo ko me
hiro ki tarah sambhalta hu,
Aur sabse chhupa kar kisi kone me
Akele hi savarta hu...
Dhund kar mile woh pathar kimti nahi,
Bina dhunde jo mile woh kimti,
Pathar nahi,
Tumhe dhundna humare kismat me nahi,
Isliye shayad aaj tum mere sath ho yahi...
Aankho ke rang me uske,
Zindagi meri aisi hi rangti rahe,
Paas jata hu uske toh sochta hu
Yeh batau use kaise,
Uss se kehena mushkil hai,
Toh keh deta hu apne dil se,
Par soochta hai ki samajhega use yeh kaise,
Agle hi pal yaad ata hai, woh reheti toh hai issi dil me...